Azaadi maang raha hun,
Kyunki bandhaa hun main,
Ab mujhe jeene do.
Zanjeer hai ye vaadon ki,
Ab toh khol do,
In vaadon ke keemat,
Ab adaa karne ki taakat nahi.
Zanjeer hai ye yaadon ki,
Ab toh khol do,
Kamzor aur laachaar rehta hun,
Ateet ke un palon ko hi baar baar jeeta hun.
Zanjeer hai ye ummidon ki,
Ab toh khol do,
Darr lagta hai,
Sangharsh karne se pehle hi haar naa jaun.
Zanjeer hai ye muqaddar ki,
Ab toh khol do,
Mehnat karne wale kisaan bhi,
Ab kismat ka jua khel rahe hain.
Zanjeer hai ye bhawnaon ki,
Ab toh khol do,
Meri kaamyaabi ke raasta par,
Mushkil rukavaton ki tarah hain.
Zanjeer hai ye waqt ki,
Ab toh khol do,
Na ye khud thame,
Na mujhe thamne de.
Zanjeeron se bandhe mere ye pair,
Raaste mein bikhre hain kaanch ke tukde,
Haalaat bhaagne ko keh rahe hain,
Ab darr ke harr katre se moksh do.
Kyunki bandhaa hun main,
Ab mujhe jeene do.
Zanjeer hai ye vaadon ki,
Ab toh khol do,
In vaadon ke keemat,
Ab adaa karne ki taakat nahi.
Zanjeer hai ye yaadon ki,
Ab toh khol do,
Kamzor aur laachaar rehta hun,
Ateet ke un palon ko hi baar baar jeeta hun.
Zanjeer hai ye ummidon ki,
Ab toh khol do,
Darr lagta hai,
Sangharsh karne se pehle hi haar naa jaun.
Zanjeer hai ye muqaddar ki,
Ab toh khol do,
Mehnat karne wale kisaan bhi,
Ab kismat ka jua khel rahe hain.
Zanjeer hai ye bhawnaon ki,
Ab toh khol do,
Meri kaamyaabi ke raasta par,
Mushkil rukavaton ki tarah hain.
Zanjeer hai ye waqt ki,
Ab toh khol do,
Na ye khud thame,
Na mujhe thamne de.
Zanjeeron se bandhe mere ye pair,
Raaste mein bikhre hain kaanch ke tukde,
Haalaat bhaagne ko keh rahe hain,
Ab darr ke harr katre se moksh do.
No comments:
Post a Comment