Thursday, 31 July 2014

Zanjeer

Azaadi maang raha hun,
Kyunki bandhaa hun main,
Ab mujhe jeene do.

Zanjeer hai ye vaadon ki,
Ab toh khol do,
In vaadon ke keemat,
Ab adaa karne ki taakat nahi.

Zanjeer hai ye yaadon ki,
Ab toh khol do,
Kamzor aur laachaar rehta hun,
Ateet ke un palon ko hi baar baar jeeta hun.

Zanjeer hai ye ummidon ki,
Ab toh khol do,
Darr lagta hai,
Sangharsh karne se pehle hi haar naa jaun.

Zanjeer hai ye muqaddar ki,
Ab toh khol do,
Mehnat karne wale kisaan bhi,
Ab kismat ka jua khel rahe hain.

Zanjeer hai ye bhawnaon ki,
Ab toh khol do,
Meri kaamyaabi ke raasta par,
Mushkil rukavaton ki tarah hain.

Zanjeer hai ye waqt ki,
Ab toh khol do,
Na ye khud thame,
Na mujhe thamne de.

Zanjeeron se bandhe mere ye pair,
Raaste mein bikhre hain kaanch ke tukde,
Haalaat bhaagne ko keh rahe hain,
Ab darr ke harr katre se moksh do.

Tuesday, 29 July 2014

Left me shattered

My eyes are desperate,
They want it to come out,
But I guess it has dried up inside,
Or maybe, it doesn’t want to face this world.

My head is heavy,
For all the sins I have done
Are asking me for a payback,
Its time I go for redemption.

My heart is pounding,
It was hurt before,
But this time it is abrupt,
Unbearable was the pain.

I knew it was coming,
I was just too carried away,
I refused to see it,
I expected the unexpected.

But now, it has happened,
It has left me shattered,
I am trying to get myself together,
But I guess the pieces are too small,
No matter how hard I am going to try,
There will be missing pieces,
Cause once broke,
It is never the same again.

I wait for the spring,
My last hope,
For a new life,
For optimism,
To move on,
To get along.

Friday, 25 July 2014

Keeping you alive..

With you gone,
I thought I won't last,
In these high tides
of this ocean vast.

I had dropped my pen,
Thought, no more my cup of tea,
Without you, my inspiration,
I believed, I won't break free.

I feel so tied up,
In chains of memories with you,
We weren't going to work any ways,
We were too good to be true.

I could smell the fragrance of leisure
with you around me,
I could taste the sweetness of nature
and grew fond of all that I could see.

I am desperate, I need you,
You always complemented me,
Like the dew on the leaves
in the dawn of a flowering tree.

I fear from making moments now,
They are misleading, they hold me,
Instead I would prefer the monotony,
like the shadows of the tree.

Now, when I look at what I dropped,
I think, I better sit in my hive,
Using my words, my empathy,
Trying to keep you alive.

Tuesday, 15 July 2014

Gunaah

Aaj maikhane mein jaam bahut aam hai,
Aaj sharaaab ke nashe mein koi baat nahi,
Aaj iss mahaul mein mosiqi ka koi asar nahi,
Aapki maujudgi ne sab ko neecha dikha diya.

Shayar ki kavita,
Sangeetkaar ki rachna,
Ziarat ka aman,
Sharaabi ki madira aap ho.

Khuda ki khudi toh dekho,
Aap jaisi khoobsurat cheez ko banaakar,
Aur iss madhushala mein mujhe aapse milakar,
Band kamre mein mujhse gunaah karwane chalaa hai.

Monday, 14 July 2014

Izhaar ka intezaar

Unke izhaar ke intezaar mein,
Mausam tak badal gaye,
Magar chahat barkaraar rahi,
Seene mein dard utha,
Magar sabr ka baand nahi tuta,
Dimaag mein uthe hazaaron sawaal,
Toh dil ne sambhal liya,
Aur phir rakt ka ek chota sa katra,
Kaan se beh chala...

Thursday, 10 July 2014

Sharaab aur shabaab

Sharaab aur shabaab mein ek gehra naata hai
Sharaab, Shabaab ki vajah se hai,
aur Shabaab, Sharaab ke liye!