Friday, 20 June 2014

Bharosa rakh

Har khushi mein uski,
Apni khushi dhoondhti rahi,
Aur wo apni hi khusi mein mast raha,
Bharosa rakh, usse ehsaas hoga.

Tu usse hi dekhti rahi,
Wo jaata raha,
Tu pukaarti rahi apne dil ki awaaz se,
Bharosa rakh, wo paltega.

Tu roti rahi,
Uske kandhe ke liye,
Wo jaankar bhi anjaan raha,
Bharosa rakh, wo pighlega.

Tu apne kal mein,
Uske kal ki dua maangti rahi,
Uske saath kuch pal ki bandagi chahne lagi,
Bharosa rakh, wo milega.

Bahut mushkil hai ye,
Kishton mein zeher lene ke jaise,
Teri aankhon ki nami batati hai,
Bharosa rakh, barkhat hogi.

Teri khudi buland hai,
Tere aage Khuda bhi jhukega,
Kyunki uska pyaar hai teri milkiyat,
Bharosa rakh, tujhe wo milega.

4 comments:

  1. This one is really one d favourite of mine...from all others...super se upar it is.....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks a lot! It was written with lots of emotions
      Glad you liked

      Delete