Friday, 20 June 2014

Hassi

Haseen hai wo hassi,
Jo har gham bhula de,
Zehreeli hai wo hassi,
Jo kisi aur ko rula de.

Mehangaai nahi aayegi tab tak,
Hassi ki koi keemat nahi hai jab tak.

Aate hain bahut se musafir,
Meri khushi ko banakar apna farz,
Hassa gaye, be gharzi wo log,
Chodd gaye mujh par apna ek karz.

Ab raaste mein har kisi ko hasaane ki koshish karta hun,
Shayad yehi zindagi ka falsafa hai.

No comments:

Post a Comment