Khwaish ek lat hai,
Iski nahi koi had hai.
Ekktak dekh nateeje ko,
Jaise wahi sabse numaaya ho.
Par raaste ki bhi jaan ahmiat,
Yehi hamesha rahegi teri milkiyat.
Jo raasta ho accha,
Toh muqaddar hai pakka.
Shikhar ho lakshya par,
Aur josh ko na vyay kar,
Paahad se vaadiyon ko dekh,
Apni safalta se aankhon ko sek,
Udte panchiyon ko soch dekhkar,
Parvat ki choti nahi sabse upar,
Kuch aur hai jahaan udaan bharna baaki hai,
Abhi toh tujhe banna pakhi hai.
Tapti dhoop jo chamdi jala de,
Aur kahin bhi jal ki boond dikhai na de,
Abhi toh uski garam teh par chalna baaki hai,
Abhi toh ise malmal karaar karna baaki hai.
Rukna nahi hai ab toh,
Thamna nahi hai ab toh,
Manzil dikhi thi abhi kahin,
Thehrna hai ab toh bas wahin.
Phir chalenge maikaide par,
Jashn manaayenge maikaashi ban kar,
Ab iss vijay ka gaurav baatna hai baaki se,
Ab toh azmat ka jaam peena hai saaki se...
Beautiful words Anjal. Keep writing. Your blog reminded me of my days when I had started my own blog.
ReplyDeleteWish you all the luck.
Akshat Singhal.
Thanks dude!
DeleteYes, not all of us have fallen into the rut of only expressing ourselves in English.
ReplyDeleteI'm glad there are people like you, Anjal.
I'm glad I know you :)
Good luck. Please keep writing and motivating.
Ek aag mere dil me hain..
ReplyDeleteEk aag tere dil me hain..
Naa jaane kal kya raang dikhlayega..
khusi yaa gam apne saath layega..
apne dil ki murad poori kar lo aaj..
is pal me khul ke jee lo aaj...
kyunki kya pta kal suraj nikle yaa naa...
par apne khwab poore karlo tum aaj..!!
Nice ;)
DeleteWow...!
ReplyDeleteNice dear but ...ok
ReplyDelete