Log kehte hain, tumhara saath mushkil hai,
Magar manzoor nahi karta ye dil hai,
Log kehte hain, hum dono ek dusre ke liye nahin,
Samajh nahi pata ki kyun hai wo sahi,
Wo kehti hai, main sirf ek dost hun,
Kya hai kami mujh mein ye sochta hun,
Sab kehte hain ki ek ladki bani hai mere liye kahin,
Lagti hai phir kyun bas wahi sahi,
Haalaat kehte hain bhool jaa,
Par kaise dun khud ko ye sazaa,
Qudrat ke mansoobe mein nahi hamari kahaani,
Par mujhe hai apni alag kismat banani,
Maine khwaab dekha hai,
Alag hi ek duniya hai,
Meri taraf haalat bhi,
Meri taraf wo log bhi,
Meri taraf ye qudrat bhi,
Aur meri taraf hai wo bhi,
Darwaze ke uss taraf hai duniya ek siran,
Adhkhule uss darwaaze se aa rahi hai ek kiran,
Par usse izhaar karna mere bass mein nahi,
Iss khatre ki keemat chukane ki haisiyat nahi,
Bhale hi mil jayegi zindagi agar haan kar de,
Par naa kar de, toh zindagi na nikal jaye kahin,
Wo aakash ki pari, main zameen ka runk,
Bandagi hai ki mil jaaye mujhe pankh,
Do pal uske saath udjaun kahin,
Khushi se mar jaaun phir main wahin,
Kyunki wahi mere dil aur dimaag mein hai,
Wahi mere andheron ka chiraag bhi hai,
Uska naam meri ruh par chap gaya hai,
Ab sakoon bas uske saath mein hai..
Thursday, 3 April 2014
Hum
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment