Saturday, 10 October 2015

Azmat ka Jaam

Azmat ki khoj mein, ab bhi masroof hun,
Safar ka junoon barkarar hai.

Jazbaton ki bhaari bediyaan,
Sapne mere nahi baandhegi.

Moh ki maaya hogi, jo manzil dikh jaaye,
Abhi faasla hai, safar ne bataya hai.

Azmat aasaan nahi, abhi toh bahut hai imtehaan,
Abhi toh pair neele hain, cheele nahin.

Jo Azmat mil jaaye, wo azmat kya azmat,
Umr bhar ka sangharsh hai asli Azmat.

Azmat ek aadat hai, talib-e-ilm ka mazhab,
Azmat ka santosh seemit kare,
Wahin azmat ka josh aseem.

Azmat ka jaam abhi baaki hai...

No comments:

Post a Comment