Jeene ki chaahat hai,
Adhoore khwabon ki kashti ko kinara chahiye.
Lehar abhi shaant hai,
Mere iraadon ki khabar se pare hai.
Iss sanaate ki awaaz mein,
Ek sangeet hai, jashn ka.
Saaf neele aasmaan par,
Safed rang bikher diye kisi ne.
Itne aasaan azmat ki,
Naa aadat thi, naa aadat ho.
Shaam ne paigaam diya andhere ko,
Meri tamanna ke baare mein.
Tabhi shayaad hawaon ke rukh mein taazagi aa gayi,
Aandhiyon mein jaise jaan si aa gayi.
Jaise in kaale baadlon ke saaye mein,
Aasmaan ka rang aur gaadha ho gaya.
Abhi toh safar ka imtehaan chaalu hua hai,
Abhi toh zindagi mein romanch chalu hua hai...

awesome 1...
ReplyDelete