Saturday, 26 April 2014

Mulakaat

Apni yaadon mein ek aur shaam hui,
khushkismat hue toh phir milenge hum kahin,
yaad rakhna iss hasee ke paigaam ko,
aapke bhool jaane ka gham shayad sehan hoga nahin.

In shaamon ki jagah koi shaam nahi hogi,
in jazbaaton ke jagah na honge koi jazbaat,
yun toh milte rahenge hum sab se,
par naa hogi aisi mulakaat.

#since5August2013

Thursday, 17 April 2014

Celebrity Crush

I know I am stupid,
There’s nothing like a cupid,
Cause if there had been one,
I wouldn’t have been sitting with just a tun.

I know you are out of my scope,
Let’s cut the attention and elope,
Into a far off land where we can be undisturbed,
There can be nothing that will leave us perturbed.

Why do people stop me?,
A question I have been asking myself,
I just know I want to live with you,
Immortal like an elf.

You are my prayer,
I sing to Lord,
For you, my dazzling dream,
I would take the longest yard.

You are like my celebrity crush,
I won’t let you go,
No matter how distant the destination may seem,
You will still remain my magnificent, I know.

I just hope I get the nerve to express,
That I would never love you less,
It’s a difficult one to keep,
But you got to take the leap.

You are the only beautiful thing,
Surrounded by admirers with a ring,
Like the lotus in the marsh,
But this reality, this is harsh,
Cause as impossible as it seems,
At last, I will be left alone with my dreams.

Tuesday, 15 April 2014

Woh...

Rehguzar mein jab deedar hua,
teri khoobsurati se jaise rashk ho gaya,
allah ka banda main,
allah ka jaise dushman ban gaya.

Noor hai tu ashk ka,
tujhe aakhon mein baithaloon,
Tere gulabi rukhsar ko dekhkar,
Jaise mantramughd ho gaya hun.

Uski qurbat hai tujhse mulakat,
Ab dua hai tera saath.
Pehli baar hai kuch maanga,
Use mananna toh padega,
Warna ye aashiq,
Uss khuda se bhi ladega.

Aur jo ho gayi dua Kabul,
Raahat ki saans tab aayegi,
Iss baghban mein patjhad ko,
Phir hariyaali tab aayegi.
Meri dua uske chahre ki muskaan rahegi,
Uski khushi ke liye meri jaan hamesha haazir rahegi.

Deedaar

Aapka deedaar kya hua,
Zehan ki har baat hum bhoolne lage hain,
Bas ab darr iss baat ka hai,
Kahin aapki aadat na ho jaaye...

Kismat

Kismat par bharosa naa kar,
Iske vajood ka bhi koi thikaana nahi hai,
Tasalli dekar dhokha dene ki,
Iski rughbat buri hai.

Worth it...

Sometimes it never ends,
Sometimes it goes on...

Sometimes it’s meant to be,
Its just that we cant see,
Sometimes its hard,
But you got to stay on the card,
You got to try,
Even if it makes you cry,
It wont be very simple,
It has never been...

But someday, you will realise,
Only in the hottest lava, the lord of the rings was made,
Only in the toughest conditions Bruce Wayne was trained,
Only after the best of efforts, the da vinci code was cracked,
Only when Neo believed in himself, could the Matrix be hacked,
It will all make sense someday,
Just don’t wish that day to be today,
I promise, you will be treated like a hime,
Just survive this test of time,
Till then let the moments to your jigsaw fit,
Cause when it happens, it will definitely be worth it.

Friday, 11 April 2014

Janamdin

Tumhare raaste ke pathar rui ban jaye,
Tumhara hi naam sune jahan hum jaaye,
Tumko ho na khushi kabhi kam,
Tumko mile kabhi na koi gum,
Tum pe aane wali har musibat se hum lad jaaye,
Tumhari zindagi iss avsar par 100 saal aur badh jaaye!

Thursday, 10 April 2014

Azmat

Khwaish ek lat hai,
Iski nahi koi had hai.
Ekktak dekh nateeje ko,
Jaise wahi sabse numaaya ho.

Par raaste ki bhi jaan ahmiat,
Yehi hamesha rahegi teri milkiyat.
Jo raasta ho accha,
Toh muqaddar hai pakka.

Shikhar ho lakshya par,
Aur josh ko na vyay kar,
Paahad se vaadiyon ko dekh,
Apni safalta se aankhon ko sek,
Udte panchiyon ko soch dekhkar,
Parvat ki choti nahi sabse upar,
Kuch aur hai jahaan udaan bharna baaki hai,
Abhi toh tujhe banna pakhi hai.

Tapti dhoop jo chamdi jala de,
Aur kahin bhi jal ki boond dikhai na de,
Abhi toh uski garam teh par chalna baaki hai,
Abhi toh ise malmal karaar karna baaki hai.

Rukna nahi hai ab toh,
Thamna nahi hai ab toh,
Manzil dikhi thi abhi kahin,
Thehrna hai ab toh bas wahin.

Phir chalenge maikaide par,
Jashn manaayenge maikaashi ban kar,
Ab iss vijay ka gaurav baatna hai baaki se,
Ab toh azmat ka jaam peena hai saaki se...

Monday, 7 April 2014

Tabdili

Sochta hun, wo din,
Jab khilone Paise se jyada pyaare lagte the,
Tab mann saaf tha,
Tab maasumiyat thi.
Sochta hun, wo din,
lagte dardnaak the,
Par bilkul naayaab the,
Mann se kabhi chinta ke baadal nahi gaye,
Phir bhi ek naya zauq de gaye,
Par aaj unki qeemat ka ehsaas hua hai,
Aaj unki phir se chaahat hui hai.
Sochta hun, ye din,
Khushi bhautikvaadi mein nahi,
Shaanti manzil mein nahi,
Nishith mein chinta se jaag jaata hun,
Itna sab hokar bhi kuch aur chahta hun,
Ye mann mein chal kapat hai,
Iski shaitaaniyat se darr hai,
Nazraana hai jo ek palaash ka,
Wahi qaabil-e-qadar maqsad hai iss talaash ka,
Jo wo cheez mil jaayegi,
Meri zindagi ki wajah samajh aayegi...

Saturday, 5 April 2014

Alahaidgi

Nami na reh jaaye un palkon par,
Jab hum apne aashiyaan bana rahe ho,
Haar na jaaye hum unko,
Jab jahaan ko hara rahe ho.

Thursday, 3 April 2014

Hum

Log kehte hain, tumhara saath mushkil hai,
Magar manzoor nahi karta ye dil hai,
Log kehte hain, hum dono ek dusre ke liye nahin,
Samajh nahi pata ki kyun hai wo sahi,
Wo kehti hai, main sirf ek dost hun,
Kya hai kami mujh mein ye sochta hun,
Sab kehte hain ki ek ladki bani hai mere liye kahin,
Lagti hai phir kyun bas wahi sahi,
Haalaat kehte hain bhool jaa,
Par kaise dun khud ko ye sazaa,
Qudrat ke mansoobe mein nahi hamari kahaani,
Par mujhe hai apni alag kismat banani,
Maine khwaab dekha hai,
Alag hi ek duniya hai,
Meri taraf haalat bhi,
Meri taraf wo log bhi,
Meri taraf ye qudrat bhi,
Aur meri taraf hai wo bhi,
Darwaze ke uss taraf hai duniya ek siran,
Adhkhule uss darwaaze se aa rahi hai ek kiran,
Par usse izhaar karna mere bass mein nahi,
Iss khatre ki keemat chukane ki haisiyat nahi,
Bhale hi mil jayegi zindagi agar haan kar de,
Par naa kar de, toh zindagi na nikal jaye kahin,
Wo aakash ki pari, main zameen ka runk,
Bandagi hai ki mil jaaye mujhe pankh,
Do pal uske saath udjaun kahin,
Khushi se mar jaaun phir main wahin,
Kyunki wahi mere dil aur dimaag mein hai,
Wahi mere andheron ka chiraag bhi hai,
Uska naam meri ruh par chap gaya hai,
Ab sakoon bas uske saath mein hai..