Tuesday, 27 May 2014

Khayaal

Aapki khushi anmol hai, numaaya hai,
Aapki muskaan ke khayaal se hi aabaad hoti hai kisiki zindagi.

Sochte hun jab, aankhon ki zaroorat nahi hoti aajkal,
Bas nadaan ho gaya hoon thoda sa,
Aapki khoobsurati ke khyaal se hi husn ki intehaa ka ehsaas hota hai

Aapka saath toh nahi,
Aapke saath ke khyaal se hi mann bhar aata hai.

Aap bandagi ho, aap saadgi ho,
Aapke khayaal mein sukoon hai.
Aapke khayaal mein ek ummeed hai jeene ki,
Aapke khayaal mein ek zid hai,
Aapke khyaalon ki sanak hai,
Ab toh khayaalon mein bhi aapke khayaalon se raahat nahi.

Ajeeb khel hai ye,
Ek alag khushi ke saath ek tadap deta hai,
Ek aisi tadap jisse rooh tak jal jaaye,
Aur wahin ek aisi khushi ki kaaya ke har hisse mein chain aa jaaye.

Tuesday, 6 May 2014

Dastoor

Duniya ka dastoor hai,
Faayda uthta hai uska jo majboor hai,
Kismat ko na dosh de,
Uska kya kasoor hai,
Ye toh insaan hai,
Jiski neeyat mein feetoor hai.

Thursday, 1 May 2014

Pal

Pal jitney khoobsurat hain,
Utne hi kshanik hain,
Ye anmol hain,
Kyunki alpkalik hain.

Aaye the vyapaarri,
Shayaad raasta bhatak gaye the,
Ya phir maadkataa mein,
dhut ho chuke the.

Pattiyon ke baur aane se jhadh jaane tak,
Bacche ke rone se uske khilkhilane tak,
Os ki woh boondon ke sukh jaane tak,
Maashoq ke ruth jaane se maan jaane tak.

Har pal mein mithaas hai,
Waise hi har pal mein khataas hai,
Par har iss chote antraal mein,
Kuch bahut hi khaas hai.

Toh lapet le apni potli mein,
Dher saare ye anmol pal,
Raasta lamba hai abhi,
Yaad aayenge ye kal.

Funde

Haar mein dhoond ummid,
Jeet mein dhoond tehzeeb,
Mushkilon mein ban labeeb,
Aur kop mein kabu kar jheeb.

Jeet

Zindagi ki pratha hai,
Yogyatam hi aajtak jeeta hai,
Sirf ek hi cheez nischit hai,
Insaan mushkil se hota vikasit hai.
Toh kamzor hone se darr,
Aur jeetne ke liye har cheez kar,
Kyunki mehnat haar jaane ka bahaana hai,
Aur jeetna hi zindagi ki khushi ka phasaana hai.