Monday, 31 March 2014

Paheli

Paheli ki ahmiat uski uljhan mein hai,
Jo anjaam mila, dilchaspi khatam!

Befikra

Befikrane ka bhi vyaktitva hai,
Jeene ka maksad hai ye,
Bandagi jo maslon se raahat ke liye maange,
Isse behtar toh qafir bankar jee lete.

Thursday, 27 March 2014

Khudi

Khud par bharosa kar,
Nahi hai koi parmindar,
Jo tera muqaddar tu banale,
Toh tu hi hai uska sikandar.
Tu jo pasand kar le,
Wahi raasta tera hai,
Tu jo galti kare toh raat,
Tu jab ehsaas kare wahi savera hai.
Teri galtiyan, tera kasoor,
Teri rooh ke hisse hain,
Teri tamgha teri kaamyaabi,
Teri zindagi ke kisse hain.
Tu jo soche,
Toh soch ki keemat badh jaaye,
Tu jo hase,
Toh khushi bhi khilkhilaye.
Tera gussa, tera guroor,
Teri awaaz, tera suroor.
Tu jo thaan le,
Toh sab hai aasaan,
Tu hi hai apni kismat ka daata,
Tu hi hai apna bhagwaan.

Tanhai

Pyaale mein mashroob tha,
Isliye kyunki zindagi hi thi na tamaam shaayad,
Besaakhte saaki ne banaya umda jaam,
Phir bhi tanhai ka nasha jyada ghaleez tha shaayad.

Mauji

Wo hasta raha, wo hasaata raha,
Saathi wo muskaan ke sailaab ka,
Nami thi uski kasrat mein,
Bas wahi nazarandaaz kar gaye.

Monday, 24 March 2014

Manzil

Imtiaz tha raasta,
Manzil faasley par,
Jab mukammal hua maksad,
Tabhi maghz mein itminaan aaya.

Unkahi

Unkahi wo baat laphzon par aakar ruk gayi,
Jab yaar ke sabaab ka khayaal aaya...

Mosiqi

Mosiqi ek nasha hai,
Mosiqi zinda rehne ka zariya,
Mosiqi ki ainak se dekho toh aman hai,
Warna yeh duniya aag ka dariya.
Main aisa nahi kehta ki mosiqi sholon se bachayega,
Par ye tumhe koylon ki chaadar par nachayega,
Teh par chalkar jo dard hoga tumhe,
Chalte waqt us takleef se tawaja hatayega.

Sunday, 23 March 2014

Subah

Wo suhani subah mein jab,
Parindon ka sur naseeb hua,
Thandi behti hawa ka ehsaas hua,
Sooraj ki paydaaish ka deedaar hua,
Zindagi ka jaise hayat tazaa hua,
Dhoop ki garmi jab shareer ko chui,
Jaise murde par jaan ki rehmat hui,
Iss nayaab pal ka bazaar nahi,
Iski keemat adaa karna mumkin nahi...

Kuch Mukhtalif

Adeeb musanif toh nahi,
par baithe baithe kuch mukhtalif karna tha,
toh hum apne aap ko padhkar,
kaagaz par anjaam dene chale.